Mai-e-be-rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona
mai-e-be-rang ka sau rang se ruswa hona
kabhi mai-kash kabhi saqi kabhi mina hona
az azal ta-ba abad mahw-e-tamasha hona
main wo hun jisko na marna hai na paida hona
sare aalam mein hai betabi o shorish barpa
hae us shoKH ka ham-shakl-e-tamanna hona
fasl-e-gul kya hai ye meraj hai aab o gil ki
meri rag rag ko mubarak rag-e-sauda hona
keh ke kuchh lala o gul rakh liya parda main ne
mujhse dekha na gaya husn ka ruswa hona
jalwa-e-husn ko hai chashm-e-tahayyur ki talab
kis ki qismat mein hai mahrum-e-tamasha hona
dahr hi se wo numayan bhi hai pinhan bhi hai
jaise sahba ke liye parda-e-mina hona
teri shoKHi teri nairang adai ke nisar
ek nai jaan hai tajdid-e-tamanna hona
husn ke sath hai begana-nigahi ka maza
qahr hai qahr magar arz-e-tamanna hona
is se baDh kar koi be-rah-rawi kya hogi
gam-e-pur-shauq ka manzil se shanasa hona
mail-e-sher-o-ghazal phir hai tabiat 'asghar'
abhi kuchh aur muqaddar mein hai ruswa hona
(1034) Peoples Rate This