Koi Mahmil-nashin Kyun Shad Ya Nashad Hota Hai
koi mahmil-nashin kyun shad ya nashad hota hai
ghubar-e-qais KHud uThta hai KHud barbaad hota hai
qafas kya halqa-ha-e-dam kya ranj-e-asiri kya
chaman par miT gaya jo har tarah aazad hota hai
ye sab na-ashna-e-lazzat-e-parwaz hain shayad
asiron mein abhi tak shikwa-e-sayyaad hota hai
bahaar-e-sabza-o-gul hai karam hota hai saqi ka
jawan hoti hai duniya mai-kada aabaad hota hai
bana leta hai mauj-e-KHun-e-dil se ek chaman apna
wo paband-e-qafas jo fitratan aazad hota hai
bahaar anjam samjhun is chaman ka ya KHizan samjhun
zaban-e-barg-e-gul se mujh ko kya irshad hota hai
azal mein ek tajalli se hui thi be-KHudi tari
tumhin ko main ne dekha tha kuchh aisa yaad hota hai
samae ja rahe hain ab wo jalwe dida o dil mein
ye nazzara hai ya zauq-e-nazar barbaad hota hai
zamana hai ki KHugar ho raha hai shor o shewan ka
yahan wo dard jo be-nala-o-fariyaad hota hai
yahan kotahi-e-zauq-e-amal hai KHud giraftari
jahan bazu simaTte hain wahin sayyaad hota hai
yahan maston ke sar ilzam-e-hasti hi nahin 'asghar'
phir is ke baad har ilzam be-buniyaad hota hai
(1124) Peoples Rate This