Ishq Hai Ek Kaif-e-pinhani Magar Ranjur Hai
ishq hai ek kaif-e-pinhani magar ranjur hai
husn-e-be-parda nahin hota magar dastur hai
KHastagi ne kar diya us ko rag-e-jaan se qarib
justuju zalim kahe jati thi manzil dur hai
le isi zulmat-kade mein us se mahrumi ki dad
us se aage ai dil-e-muztar hijab-e-nur hai
lab pe mauj-e-husn jab chamke tabassum nam ho
rabbi-areni kah ke chiKH uThun tu barq-e-tur hai
nur aankhon mein usi ka jalwa KHud nur-e-muhit
did kya hai kuchh talatum mein hujum-e-nur hai
aankh hai jab mahw-e-hairat to numayan hai wahi
fikr ho jab kar-farma to wahi mastur hai
dekhta hun main ki hai bahr-e-haqiqat josh par
jo hubab uTh uTh ke miTta hai sar-e-mansur hai
(798) Peoples Rate This