Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_19533cd12cc35aa501aa0fdeeecc9a24, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain - Asghar Abid Poetry In English - Darsaal

Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain

kuchh bhi kaho sab apni anaon pe aDe hain

sab log yahan surat-e-asnam khaDe hain

jo par utarta gaya hota gaya kam-tar

hum duri-e-manzil ke tufail aaj baDe hain

hum ko na kaho qane-e-haalat ki hum log

zindani-e-dahliz ke mansab pe khaDe hain

ai wasl-nasibo! hamein muD kar bhi na dekha

hum qufl ke manind masaib pe paDe hain

tariKH-e-zamin baKHt-kusha hone lagi to

khulta gaya hum waqt se be-kar laDe hain

ujlat ke alaw mein kiye faisle 'abid'

ab soch ki barfani khaDaun pe khaDe hain

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain In English By Famous Poet Asghar Abid. Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain is written by Asghar Abid. Read famous Poem Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain for youth and Student by Asghar Abid. Free Download Kuchh Bhi Kaho Sab Apni Anaon Pe ADe Hain in PDF.