Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_7f62ab7d3d6bc5a575d6c6fd9ba33c96, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya - Asghar Abid Poetry In English - Darsaal

Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya

baat be-baat ulajhte ho bhala baat hai kya

mere andar ki balaon se mulaqat hai kya

hum to us pasti-e-ehsas pe jite hain jahan

ye bhi malum nahin jit hai kya mat hai kya

dhund mein Dub gaya dil ka muhaddab adsa

kaun batlae sar-e-arz-o-samawat hai kya

dard ka ghaar-e-hira dil mein kiya hai tamir

mujh ko malum nahin tarz-e-ibaadat hai kya

ai mere lafz ka qad napne wale ye bata

tu jo aaya hai muqabil teri auqat hai kya

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya In English By Famous Poet Asghar Abid. Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya is written by Asghar Abid. Read famous Poem Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya for youth and Student by Asghar Abid. Free Download Baat Be-baat Ulajhte Ho Bhala Baat Hai Kya in PDF.