Kis Tarah Aae Teri Bazm-e-tarab Mein Aaina

kis tarah aae teri bazm-e-tarab mein aaina

hai nazar-band aaj-kal shahr-e-halab mein aaina

hind se us tak jo le jae koi taswir-e-yar

sharm se laila na dekhe phir arab mein aaina

bazm mein bulwae jaldi ki ek muddat se hai

ishtiyaq-e-zulf-o-KHat-o-chashm-o-lab mein aaina

naukri bhi ki to hairani faqat hum ko mili

aarsi tanKHwah mein pai talab mein aaina

shaiKH-sahab ta-kuja aaraish-e-resh-e-saped

dekhiye shana bala mein hai ghazab mein aaina

saqiya ye aaina hai tera mai-KHana nahin

hai har ek saghar kaf-e-bintul-anab mein aaina

dekhne jata hai us ko tab-e-nazzara nahin

sada-lauh us se hua mashhur sab mein aaina

(649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Tarah Aae Teri Bazm-e-tarab Mein Aaina In English By Famous Poet Aseer Lakhnawi. Kis Tarah Aae Teri Bazm-e-tarab Mein Aaina is written by Aseer Lakhnawi. Read famous Poem Kis Tarah Aae Teri Bazm-e-tarab Mein Aaina for youth and Student by Aseer Lakhnawi. Free Download Kis Tarah Aae Teri Bazm-e-tarab Mein Aaina in PDF.