Zulmat-e-dasht-e-adam Mein Bhi Agar Jaunga
zulmat-e-dasht-e-adam mein bhi agar jaunga
le ke ham-rah mah-e-dagh-e-jigar jaunga
aariz-e-gul hun na main dida-e-bulbul gulchin
ek jhonka hun faqat san se guzar jaunga
ai fana TuT sakegi na kabhi kashti-e-umr
main kisi aur samundar mein utar jaunga
dekh ji bhar ke magar toD na mujh ko gulchin
hath bhi tu ne lagaya to bikhar jaunga
ek qatra hun magar sail-e-mohabbat se tere
ho sake jo na samundar se bhi kar jaunga
dur gulshan se kisi dasht mein le ja sayyaad
ham-safiron ke taranon mein to mar jaunga
sehn-e-gulshan mein kai dam bichhe hain ai 'asar'
uD ke jaun bhi agar main to kidhar jaunga
(721) Peoples Rate This