Lutf Gunah Mein Mila Aur Na Maza Sawab Mein
lutf gunah mein mila aur na maza sawab mein
umr tamam kaT gai kawish-e-ehtisab mein
tere shabab ne kiya mujh ko junun se aashna
mere junun ne bhar diye rang teri shabab mein
aah ye dil ki jaan-gudaz joshish-e-iztirab hai
hae wo daur jab kabhi lutf tha iztirab mein
qalb taDap taDap uTha ruh laraz laraz gai
bijliyan thin bhari hui zamzama-e-rubab mein
charKH bhi mai-parast hai bazm-e-zamin bhi mast hai
gharq-e-buland-o-past hai jalwa-e-mahtab mein
mere liye ajib hain teri ye muskurahaTen
jag raha hun ya tujhe dekh raha hun KHwab mein
mere sukut mein nihan hai mere dil ki dastan
jhuk gai chashm-e-fitna-za Dub gai hijab mein
lazzat-e-jam-e-jam kabhi talKHi-e-zahr-e-gham kabhi
ishrat-e-zist hai 'asar' gardish-e-inqilab mein
(967) Peoples Rate This