Wo Un Ka Hijab Aur Nazakat Ke Nazare
wo un ka hijab aur nazakat ke nazare
aae wo shab-e-wada tasawwur ke sahaare
wo kali ghaTa aur wo baDhte hue dhaare
zahid bhi agar dekhe to saqi ko pukare
wo jalwa-gah-e-naz wo maKHmur nigahen
ab kya kahun ye lamhe kahan main ne guzare
KHud husn ka mear nira zauq-e-nazar hain
utne hi hasin aap hain jitne mujhe pyare
be-wajh nahin husn ki tanwir mein tabish
wo dete hain KHakistar-e-ulfat ke sharare
tum chaho to do lafzon mein tai hote hain jhagDe
kuchh shikwe hain beja mere kuchh uzr tumhaare
phir jam-ba-kaf ho gai har chiz 'asar' aaj
yaad aa gae phir madh-bhari aankhon ke ishaare
(1055) Peoples Rate This