Taskin-e-dil Ko Ashk-e-alam Kya Bahaun Main
taskin-e-dil ko ashk-e-alam kya bahaun main
jo aag KHud lagai hai kyun-kar bujhaun main
barbaad kar chuke wo main barbaad ho chuka
ab kya raha hai roun aur un ko rulaun main
lachuk, nasim-e-subh, payam-e-visal-e-dost
kab tak misal-e-shama rag-e-jaan jalaun main
ai ishq kya yahi hai makafat-e-arzu
apni hi KHak hath se apne uDaun main
roya yunhi jo hijr mein shab bhar to kya ajab
tare ki tarah waqt-e-sahar Dub jaun main
(837) Peoples Rate This