Nigah-e-shauq Ko Yun Aaina-samani De

nigah-e-shauq ko yun aaina-samani de

ishq ko husn bana husn ko hairani de

dil-nawazi mein bhi iza hai mohabbat ki qasam

tujh ko fursat jo kabhi shughl-e-sitam-rani de

kuchh teri chashm-e-suKHan-saz ka ima na khula

lab-e-mai-nosh ko taklif-e-gul-afshani de

phul wo hai jo mayassar chaDhe ye sunta tha

ab khula dil ki rah-e-ishq mein qurbani de

aaina sang-e-dar-e-dost hua bhi to kya

sar jo sajde mein jhuke lau teri peshani de

uf wo purkar jo sunte hi taghaful ka gila

ishwa-o-naz ko talim-e-pashimani de

dil-e-betab-e-tamasha ki tasalli malum

apne har jalwe ko ek paikar-e-insani de

us ki angDai ka aalam to kabhi dekh ai gul

aur hi husn teri chaak-garebani de

aao shiraaza-e-hasti ko pareshan kar den

yun ki us zulf ko paigham-e-pareshani de

teri sarkar ghani tera gada bhi hai ghani

kuchh na de aur jo de gham ki farawani de

is tawaqqo pe hun KHamosh ki wo shoKH-nigah

phir Tahoka pa-e-taqrib-e-ghazal-KHwani de

(937) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-e-shauq Ko Yun Aaina-samani De In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Nigah-e-shauq Ko Yun Aaina-samani De is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Nigah-e-shauq Ko Yun Aaina-samani De for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Nigah-e-shauq Ko Yun Aaina-samani De in PDF.