Kahe Ko Aise DhiT The Pahle JhuTi Qasam Jo Khate Tum
kahe ko aise DhiT the pahle jhuTi qasam jo khate tum
ghairat se aa jata pasina aankh na hum se milate tum
haif tumhein fursat hi nahin hai warna kya kya hasrat thi
haal hamara kuchh sun lete kuchh haal apna sunate tum
nang hai milna aar takallum ek zamana aisa tha
bazm mein apni hum ko bula kar izzat se biThlate tum
hum wo nahin ya tum wo nahin tum hanste ho aur hum rote hain
ya hichki ulTi jati thi jitna hamein samjhate tum
waza bhi koi shai hai aaKHir dil ko 'asar' samjhana tha
dar se kisi ke ek bar uTh kar kash dobara na jate tum
(1224) Peoples Rate This