Ishq Ki Garmi-e-bazar Kahan Se Laun
ishq ki garmi-e-bazar kahan se laun
yusuf-e-dil ka KHaridar kahan se laun
sunte hi naghmon ki ek lahr ragon mein dauDe
main teri shoKHi-e-guftar kahan se laun
wahi shorida-sari hai wahi iza-talabi
ishq mein jada-e-hamwar kahan se laun
ho gain aankhon se wo mast nigahen ojhal
ishrat-KHana-e-KHummar kahan se laun
dil ki dhaDkan mein suna karta tha paigham tera
ab wo hangama-e-bisyar kahan se laun
us par aaina ho kis tarah haqiqat dil ki
shauq-e-minnat-kash-e-izhaar kahan se laun
mabad-e-dil mein parastar-e-mohabbat hun 'asar'
rawish-e-kafir-o-din-dar kahan se laun
(954) Peoples Rate This