Hae Re Pyari Pyari Aankh

hae re pyari pyari aankh

matwali rat-nari aankhen

ghaarat-e-dil par TuT paDi hai

shyam-nagar ki kumari aankhen

us ghaDi dekho in ka aalam

nind se jab hon bhaari aankhen

zahr kabhi hain aur kabhi amrit

un ki bai bai aankhen

jin ko jhapakna yaad nahin hai

hairat ki hain wo mari aankhen

takti hain ab tak rah kisi ki

subh o sham shikari aankhen

kaun 'asar' ki nazar mein samae

dekhi hai us ne tumhaari aankhen

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hae Re Pyari Pyari Aankh In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Hae Re Pyari Pyari Aankh is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Hae Re Pyari Pyari Aankh for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Hae Re Pyari Pyari Aankh in PDF.