Chupke Se Nam Le Ke Tumhaara Kabhi Kabhi

chupke se nam le ke tumhaara kabhi kabhi

dil Dubne laga to ubhaara kabhi kabhi

har-chand ashk-e-yas jab umDe to pi gae

chamka falak pe ek sitara kabhi kabhi

main ne to honT si liye is dil ko kya karun

be-iKHtiyar tum ko pukara kabhi kabhi

zahr-e-alam ki aur baDhane ko talKHiyan

be-mehriyon ke sath mudara kabhi kabhi

ruswaiyon se dur nahin be-qarariyan

dil ko ho kash sabr ka yara kabhi kabhi

qatre ke ek mauj ye kahti nikal gai

sahil se maslahat hai kinara kabhi kabhi

ai shahid-e-jamal koi shakl hai ki ho

teri nazar se tera nazara kabhi kabhi

hangam-e-girya aah se nadan 'asar' hazar

uDta hai ashk jaise sharara kabhi kabhi

(982) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chupke Se Nam Le Ke Tumhaara Kabhi Kabhi In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Chupke Se Nam Le Ke Tumhaara Kabhi Kabhi is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Chupke Se Nam Le Ke Tumhaara Kabhi Kabhi for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Chupke Se Nam Le Ke Tumhaara Kabhi Kabhi in PDF.