Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Hue

bhule afsane wafa ke yaad dilwate hue

tum to aae aur dil ki aag bhaDkate hue

mauj-e-mai bal kha gai gul ko jamai aa gai

zulf ko dekha jo us aariz pe lahraate hue

be-murawwat yaad kar le ab to muddat ho gai

teri baaton se dil-e-muztar ko bahlate hue

nind se uTh kar kisi ne is tarah aankhen malin

subh ke tare ko dekha aankh jhapkate hue

hum to uTThe jate hain lekin bata de is qadar

kis ke dar ki KHak chhane tere kahlate hue

jhaD kar daman 'asar' jis bazm se uTh aae the

aaj phir dekhe gae hazrat udhar jate hue

(835) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Hue In English By Famous Poet Asar Lakhnavi. Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Hue is written by Asar Lakhnavi. Read famous Poem Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Hue for youth and Student by Asar Lakhnavi. Free Download Bhule Afsane Wafa Ke Yaad Dilwate Hue in PDF.