Aah Se Jab Dil Mein Dube Tir Ubhaare Jaenge
aah se jab dil mein Dube tir ubhaare jaenge
dekh lena dur tak uD kar sharare jaenge
mauj-e-tufan ko jinhon ne chirna sikha nahin
is kinare se bhala kya us kinare jaenge
utni hi rangin hoti jaegi apni nazar
jis qadar tere tasawwur ko sanware jaenge
kuchh na kuchh ho hi rahega dard-mandi ka maal
jaan ke dushman tujhi ko hum pukare jaenge
KHak ho kar bhi na aaega unhen dam bhar qarar
uTh ke tere dar se jo aafat ke mare jaenge
ek harf-e-dil-nashin! ye bhi nahin to ek nigah
dur jaane wale kyun-kar be-sahaare jaenge
baiThe sahil par gina karte hain jo lahren 'asar'
waqt paDne par bhala kya dhaare dhaare jaenge
(761) Peoples Rate This