Jaane Kyun Log Gham Se Darte Hain

jaane kyun log gham se Darte hain

hum to aalam mein nikharte hain

jo KHushi ke sarab mein gum hain

wo KHushi se hi apni marte hain

gham bhi rakhte hain sath KHushiyon ke

zindagi mein jo rang bharte hain

TuT jate hain sab ghamon ke hisar

moti KHushiyon ke jab bikharte hain

lakh KHushiyan unhen mubarak hon

hum ghamon se hi dil ko bharte hain

Dub jate hain jo kinare par

wo kahan Dub kar ubharte hain

haalat-e-dil bataen hum un ko

kaise din raat ab guzarte hain

khul hi jate hain un pe aib-o-hunar

aaine se jo baat karte hain

aaina dekhta hai hairat se

wo jis andaz se sanwarte hain

kya bharosa hai zindagi ka 'asar'

roz jite hain roz marte hain

(877) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaane Kyun Log Gham Se Darte Hain In English By Famous Poet Asar Akbarabadi. Jaane Kyun Log Gham Se Darte Hain is written by Asar Akbarabadi. Read famous Poem Jaane Kyun Log Gham Se Darte Hain for youth and Student by Asar Akbarabadi. Free Download Jaane Kyun Log Gham Se Darte Hain in PDF.