Sinon Mein Agar Hoti Kuchh Pyar Ki Gunjaish
sinon mein agar hoti kuchh pyar ki gunjaish
hathon mein nikalti kyun talwar ki gunjaish
pichhDe hue ganw ka shayad hai wo bashinda
jo shahr mein DhunDe hai isar ki gunjaish
nafrat ki tassub ki yun rakkhi gain inTen
paida hui zehnon mein diwar ki gunjaish
pakizgi ruhon ki nilam hui jab se
jismon mein nikal aai bazar ki gunjaish
is tarah khule dil se iqrar nahin karte
rakh lijiye thoDi si inkar ki gunjaish
gar azm musammam ho aur jehd-e-musalsal bhi
sahra mein nikal aae gulzar ki gunjaish
samjhen ki na samjhen wo hum ne to 'asad' rakh di
ashaar ke honTon pe izhaar ki gunjaish
(1105) Peoples Rate This