Rahen Dhuan Dhuan Hain Safar Gard Gard Hai

rahen dhuan dhuan hain safar gard gard hai

ye manzil-e-murad to bas dard dard hai

apne paDosiyon ko bhi pahchanta nahin

mahsur apne KHol mein ab fard fard hai

is mausam-e-bahaar mein ai baghban bata

chehra har ek phul ka kyun zard zard hai

laffaziyon ka garm hai bazar kis qadar

dast-e-amal hamara magar sard sard hai

kaisa tazad shaKH-e-tamanna mein hai 'asad'

KHud ye hari hari hai samar zard zard hai

(884) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rahen Dhuan Dhuan Hain Safar Gard Gard Hai In English By Famous Poet Asad Raza. Rahen Dhuan Dhuan Hain Safar Gard Gard Hai is written by Asad Raza. Read famous Poem Rahen Dhuan Dhuan Hain Safar Gard Gard Hai for youth and Student by Asad Raza. Free Download Rahen Dhuan Dhuan Hain Safar Gard Gard Hai in PDF.