Humse Diwanon Ko Asri Aagahi Dasti Rahi
hum se diwanon ko asri aagahi Dasti rahi
khokhli tahzib ki farzangi Dasti rahi
shoala-e-nafrat to bhaDka ek lamhe ke liye
muddaton phir shahr ko ek tirgi Dasti rahi
maut ki nagin se ab hargiz wo Dar sakta nahin
jis ko sari umr KHud ye zindagi Dasti rahi
main na jaane kitne janmon ka hun pyasa dosto
rah ke dariya mein bhi mujh ko tishnagi Dasti rahi
aap ke honTon pe jo muddat se hai chhai hui
dard mein Dubi hui wo KHamushi Dasti rahi
ek tum ho dushmani bhi ras aai hai jise
aur ek main hun ki jis ko dosti Dasti rahi
har ghaDi chehre pe jo chehre lagata hi raha
umr bhar us ko 'asad' be-chehragi Dasti rahi
(793) Peoples Rate This