Tamasha Hai Ki Sab Aazad QauMein

tamasha hai ki sab aazad qaumen

bahi jati hain aazadi ki rau mein

wo gard-e-karwan ban ke chale hain

sitare the rawan jin ke jilau mein

safar kaisa faqat aawargi hai

nahin manzil nigah-e-rah-rau mein

hai soz-e-dil hi raaz-e-zindagani

hayat-e-shama hai sirf us ki lau mein

bahut the ham-zaban lekin jo dekha

na nikla ek bhi hamdard sau main

'asad' saqi ki hai dohri inayat

sharab-e-kohna Dali jam-e-nau mein

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamasha Hai Ki Sab Aazad QauMein In English By Famous Poet Asad Multani. Tamasha Hai Ki Sab Aazad QauMein is written by Asad Multani. Read famous Poem Tamasha Hai Ki Sab Aazad QauMein for youth and Student by Asad Multani. Free Download Tamasha Hai Ki Sab Aazad QauMein in PDF.