Nau Manzila Building
zamin ka raqs-e-paiham sard lohe ki nukili kil, zanjir-e-kashish, shane
aur ek nau manzila building
aur is nau manzila building ko apne na-tawan shanon ki baqi-manda quwwat se sambhaale
is fasurda shahr ki sab se baDi footpath par Tangen pasare
har guzarte wahime ko takne wala main
ye barfili hawa thi ya koi lamha
saba-raftar lamha barq-dam lamha
jo meri ungliyon ke darmiyan se KHwab ki manind guzra
kya murur-e-waqt jari hai?
mere laghar badan mein kaun naKHun gaDta hai?
kyun zamin yaKH-basta zamburon mein mere panw jakDe hai
main aaKHir kaun hun? main kaun hun? aur nam
mera nam kya hai? kya main zinda hun?
main zinda hun main zinda hun main apni chiKH sun sakta hun
ik pal ke liye Thahro bas ek pal ke liye Thahro
ki is nau manzila building se apne na-tawan shanon ko main aazad to kar lun
main kahta hun main sunta hun
magar wo gurez-pa lamha hawa ke dosh par uDta chala jata hai ye nau manzila building
mere malik main tanha hun main tanha hun
meri jaanib baDe be-rahm sannaTon mein lipTi sham baDhti aa rahi hai main gira jata hun
bolo! kya main lamhon ki ayalen apni muTThi mein jakaD lun?
kya main is nau manzila building ko apne na-tawan shanon se niche phenk dun
uTh kar khaDa ho jaun
magar main ne
magar main ne to is nau manzila building ki KHatir naKHunon se niw khodi thi
(1042) Peoples Rate This