Sirf Kahne Ko Koi Azmat-nishan Banta Nahin

sirf kahne ko koi azmat-nishan banta nahin

chand qatron se to bahr-e-be-karan banta nahin

chaar chhe phulon se apne ghar ka guldasta saja

chaar chhe phulon se hargiz gulistan banta nahin

karwan ka pas hai tujh ko to pani par na chal

ye wo jada hai jahan koi nishan banta nahin

be-sar-o-saman parindo kash tum ye sochte

kaun si shaKHen hain jin par aashiyan banta nahin

kis qadar na-qabil-e-idrak hai meri zaban

koi is basti mein mera ham-zaban banta nahin

(1011) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sirf Kahne Ko Koi Azmat-nishan Banta Nahin In English By Famous Poet Asad Jafri. Sirf Kahne Ko Koi Azmat-nishan Banta Nahin is written by Asad Jafri. Read famous Poem Sirf Kahne Ko Koi Azmat-nishan Banta Nahin for youth and Student by Asad Jafri. Free Download Sirf Kahne Ko Koi Azmat-nishan Banta Nahin in PDF.