Shashdar-o-hairan Hai Jo Bhi KHaridaron Mein Hai
shashdar-o-hairan hai jo bhi KHaridaron mein hai
ek sukut-e-bekaran har samt bazaron mein hai
naubat-e-qaht-e-masihai yahan tak aa gai
kuchh dinon se aarzu-e-marg bimaron mein hai
wo bhi kya din the ki jab har wasf ek eazaz tha
aaj to azmat qabaon aur dastaron mein hai
uD rahe hain rang phulon ke faqat is baat par
iltifat fasl-e-gul ka zikr kyun KHaron mein hai
ai mere naqid mere ashaar kam-paya sahi
kam se kam iblagh to mere suKHan-paron mein hai
bujh nahin sakti kisi surat hawas ki tishnagi
bahr-e-be-payan bhi barish ke talab-garon mein hai
KHub-surat shakl mein hum sab darinde hain 'asad'
aadmi kahte hain jis ko wo abhi ghaaron mein hai
(1213) Peoples Rate This