Malal-e-hijr Nahin Ranj-e-be-ruKHi Bhi Nahin
malal-e-hijr nahin ranj-e-be-ruKHi bhi nahin
ki e'tibar ke qabil to zindagi bhi nahin
karun main KHun-e-tamanna ka kis liye matam
mere liye ye musibat koi nai bhi nahin
main phir bhi sham-o-sahar be-qarar rahta hun
agarche ghar mein kisi chiz ki kami bhi nahin
mujhe KHabar hai ki anjam-e-wasl kya hoga
isi liye tere milne ki kuchh KHushi bhi nahin
wahi hai sab ki nigahon ki tanz ka markaz
wo jis makan ki khiDki kabhi khuli bhi nahin
hue wo log hi shab ke safar pe aamada
wo jin ke pas asad koi raushni bhi nahin
(1083) Peoples Rate This