Koi Dil-jui Nahin Thi Koi Shunawai Na Thi
koi dil-jui nahin thi koi shunawai na thi
jaise ahl-e-shahr se meri shanasai na thi
mujh ko ek chup-chap se chehre ne zaKHmi kar diya
main ne aisi choT sari zindagi khai na thi
ghaur se dekhen to hai yaadon ke rangon ka kamal
is qadar dilkash kabhi taswir-e-tanhai na thi
kar diya jis ne mujhe phir zindagi se ham-kanar
tha mera zauq-e-yaqin teri masihai na thi
baghban ki ek zara si laghzish-e-tartib se
mausam-e-gul tha magar gulshan mein ranai na thi
jin se thi insaf ki ummid ahl-e-dard ko
ghaur se dekha to un aankhon mein binai na thi
na-KHuda mujh ko apahij kar gaya warna 'asad'
aasman uncha na tha dariya mein gahrai na thi
(1316) Peoples Rate This