Murgh-e-marhum
ai mere murghe mere sarmaya-e-taskin-e-jaan
teri furqat mein hai be-raunaq mera sara makan
kaun dega raat ke barah baje uTh kar azan
teri furqat mein ye dil taDpa jigar ne aah ki
kha gai tujh ko nazar shayad kisi bad-KHwah ki
tujh ko laya tha karachi se ki palunga tujhe
mashriqi aadab ke sanche mein Dhaalunga tujhe
muft-KHoron ki nigahon se bacha lunga tujhe
tujh pe lekin maut ke dil-doz sae chha gae
hasrat un ghunchon pe hai jo bin khile murjha gae
tere ghamze zindagani bhar na bhulenge mujhe
phul si kalghi mulaem par na bhulenge mujhe
tere andaz-e-hasin yaksar na bhulenge mujhe
chhoD kar mujh ko tu dast-e-dawar-e-mahshar mein hai
tera Darba tujh se behtar hai ki mere ghar mein hai
main waba-e-am se tujh ko bachata rah gaya
tujh ko kitne qimti sharbat pilata rah gaya
tujh ko rani-khet ke Tike lagata rah gaya
mere injection tujhe lutf-e-fana dene lage
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
teri surat jab bhi yaad aai jigar taDpa gai
teri furqat mein mere panw mein kal moch aa gai
KHamushi si meri duniya-e-nazar mein chha gai
kar ke bahr-e-gham mein meri kashti-e-dil pash-pash
bazi-e-goi ki daman tar makun hushiyar bash
dastan-e-murgh ek dard-e-nihan sabit hui
ye pareshani nashat-e-dushmanan sabit hui
doston ki har tasalli raegan sabit hui
dost gham-KHwari mein meri sai farmaenge kya
ek ek murgha uTha kar ghar se le aaenge kya
ai mere murghe tumhaare tazkire honge yahan
main bana dunga tumhaari har ada ko jawedan
ho mubarak tum ko murghe gosha-e-murgh-e-jinan
main tumhaari yaad se qalb-e-hazin bahlaunga
ghar ke aage main tumhaara maqbara banwaunga
(2987) Peoples Rate This