Mughal Ki Car
alag duniya ki caron se mughal ki car hai pyare
suna hai pichhle das salon se ye bimar hai pyare
zamane ke liye ibrat ka ek shahkar hai pyare
mughal ke waste ek mustaqil aazar hai pyare
kisi bhi car se zinhaar chaal is ki nahin milti
ye wo shai hai ki duniya mein misal is ki nahin milti
kai farlang tak dhakka lagate hain to chalti hai
pasina chaar chhe sathi bahate hain to chalti hai
sahar se sham tak haindle ghumate hain to chalti hai
sar us ke samne apna jhukate hain to chalti hai
taras kha kar mughal par jab bhi ye aati hai harakat mein
yaqin karna hi paDta hai baDi taqat hai qudrat mein
ye chalti hai to shofar ko bhala kab hosh rahta hai
har ek rahgir ta-hadd-e-nazar ru-posh rahta hai
jahan bhi us ka jo purza hai wo pur-josh rahta hai
magar ek horn hai kam-baKHt jo KHamosh rahta hai
koi ab us ki fitrat ka lagae KHak andaza
gear us ka badalte hain to khul jata hai darwaza
karen rewers to afsos ye aage ko chalti hai
dabaate hain clutch is ka to batti is ki jalti hai
agar multan jaana ho to bhakkar ja nikalti hai
jo pahiyon ke tale inTen rakhen ye tab sambhalti hai
mughal gaDi ke har ek wasf ka idrak rakhte hain
jabhi to car mein inTon ka wo stock rakhte hain
hain is mein jis qadar seaten wo springon se KHali hain
guman hota hai aasar-e-qadima se nikali hain
hujum-e-dostan ne dhajjiyan is ki uDa li hain
wo har ek baiThne wale se kapDe ki sawali hain
pareshan us ka shiraaza har ek kal us ki be-kal hai
ye wo gaDi hai jo fankar ki taKHliq-e-awwal hai
ise raste mein bas taqdir hi roke to rukti hai
mughal ki aah par tasir hi roke to rukti hai
hamara nala-e-dil-gir hi roke to rukti hai
wagarna phir koi KHinzir hi roke to rukti hai
mere yaro jahan ye jaanwar kam-paya jata
KHuda jaane wahan kaise ise Thahraya jata
(1510) Peoples Rate This