Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0f28b86727b86e59de1389eb56051572, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya - Asad Bhopali Poetry In English - Darsaal

Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya

ishq ko jab husn se nazren milana aa gaya

KHud-ba-KHud ghabra ke qadmon mein zamana aa gaya

jab KHayal-e-yar dil mein walehana aa gaya

lauT kar guzra hua kafir zamana aa gaya

KHushk aankhen phiki phiki si hansi nazron mein yas

koi dekhe ab mujhe aansu bahana aa gaya

ghuncha o gul mah o anjum sab ke sab bekar the

aap kya aae ki phir mausam suhana aa gaya

main bhi dekhun ab tera zauq-e-junun-e-bandagi

le jabin-e-shauq un ka aastana aa gaya

husn-e-kafir ho gaya aamada-e-tark-e-jafa

phir 'asad' meri tabahi ka zamana aa gaya

(882) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya In English By Famous Poet Asad Bhopali. Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya is written by Asad Bhopali. Read famous Poem Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya for youth and Student by Asad Bhopali. Free Download Ishq Ko Jab Husn Se Nazren Milana Aa Gaya in PDF.