Ye Jo Sham Zar-nigar Hai
ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai
main manzaron se sarsari guzarne wala shaKHs tha
yunhi si ek sham thi aur ek jhil thi
ki jis mein us ka aks tha
so main wahin Thahar gaya
wo chand mere sare jism mein utar gaya
ye ek hijr jo azal se mere us ke darmiyan tha
magar ajab junun tha jo chahta tha
duriyon ko toD de
lagam-e-asp-e-asman zamin ki samt moD de
achanak ek subh meri aankhen bujh gain
ya udas chand ko sahar nigal gai
ye jo sham zar-nigar hai
ek udas chand se lagao ke dinon ki yaadgar hai
(839) Peoples Rate This