Hum Ahl-e-KHauf
yahi thakan ki jo in bastiyon pe chhai hai
utar na jae parindon ke shahparon mein bhi
ye TuTe phuTe makanat unghte chhappar
charagh-e-sham ki dhundli si raushni ke amin
na in ka yar koi hai na koi nukta-chin
na jaane kab koi dast-e-sitam idhar aa jae
aur is zara si bachi raushni ko kha jae
ye khilkhilate hue hanste muskuraate log
bason mein railon mein manzil ki samt jate log
koi dhamaka inhen jaane kab uDa jae
lahu ke dhabbon pe afsos karta hakim-e-shahr
aur us ke baad mohabbat pe chand taqriren
jo ahl-e-shahr ki peshaniyon pe raushan hain
malal ye hai ki us ko koi na dekhega
hum ahl-e-KHauf ke sinon mein jo dhaDakta hai
(775) Peoples Rate This