Ek Nazam
kaun soche ki suraj ke hathon mein kya hai
hawaon ki tahrir paDhne ki fursat kisi ko nahin
kaun DhunDe
fazaon mein tahlil rasta
kaun guzre soch ke sahilon se
KHwahishon ki sulagti hui ret ko
kaun hathon mein le
kaun utre samundar ki gahraiyon mein
chandni ki jawan ungliyon mein
ungliyan kaun Dale
kaun samjhe mere falsafe ko
jald hi ye safar KHatm hone ko hai
kisi benam-o-nishan lamhe mein dil chahta hai
duriyan bas meri muTThi mein simaT kar rah jaen
Doriyan KHema-e-tanhai ki kaT kar rah jaen
(799) Peoples Rate This