Yahi Nahin Ki Mera Ghar Badalta Jata Hai
yahi nahin ki mera ghar badalta jata hai
mizaj-e-sheher bhi badalta jata hai
ruten qadim tawatur se aati jati hain
daraKHt patton ke zewar badalta jata hai
ufuq pe kyun nahin rukti koi kiran pal bhar
ye kaun tezi se manzar badalta jata hai
ghubar-e-waqt mein sab rang ghulte jate hain
zamana kitne hi tewar badalta jata hai
chhiDi hui hai azal se dil o nigah mein jang
mahaz ek hai lashkar badalta jata hai
ye kis ka hath hai jo be-charagh raaton mein
fasil-e-shahr ke patthar badalta jata hai
parind peD se parwaz karte jate hain
ki bastiyon ka muqaddar badalta jata hai
(838) Peoples Rate This