Us Abr Se Bhi Qabahat Ziyaada Hoti Hai
us abr se bhi qabahat ziyaada hoti hai
jise barasne ki aadat ziyaada hoti hai
wo aabshaar hain us ke labon mein poshida
ki jin se pyas ki shiddat ziyaada hoti hai
wo mere pas na aane ko deta hai tarjih
jab us ko meri zarurat ziyaada hoti hai
rahun jo ghar mein to tanhai kaTne aae
chalun jo rah to wahshat ziyaada hoti hai
main ek shajar hun magar barg-o-bar se aazad
hawa ki mujh pe inayat ziyaada hoti hai
yahan hamare bhi din the buzurg kahte hain
nae lahu mein baghawat ziyaada hoti hai
(844) Peoples Rate This