ShaKH Se Phul Se Kya Us Ka Pata Puchhti Hai
shaKH se phul se kya us ka pata puchhti hai
ya phir is dasht mein kuchh aur hawa puchhti hai
main to zaKHmon ko KHuda se bhi chhupana chahun
kis liye haal mera KHalq-e-KHuda puchhti hai
chashm-e-inkar mein iqrar bhi ho sakta tha
chheDne ko mujhe phir meri ana puchhti hai
tez aandhi ko na fursat hai na ye shauq-e-fuzul
haal ghunchon ka mohabbat se saba puchhti hai
kisi sahra se guzarta hai koi naqa-sawar
aur mizaj us ka hawa sab se juda puchhti hai
(838) Peoples Rate This