Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8e7e0475d7814ea6955ce7a97f15158c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain - Asad Badayuni Poetry In English - Darsaal

Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain

sab ek charagh ke parwane hona chahte hain

ajib log hain diwane hona chahte hain

na jaane kis liye KHushiyon se bhar chuke hain dil

makan ab ye aza-KHane hona chahte hain

wo bastiyan ki jahan phul hain darichon mein

isi nawah mein virane hona chahte hain

takallufat ki nazmon ka silsila hai siwa

talluqat ab afsane hona chahte hain

junun ka zom bhi rakhte hain apne zehn mein hum

paDe jo waqt to farzane hona chahte hain

(989) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain In English By Famous Poet Asad Badayuni. Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Sab Ek Charagh Ke Parwane Hona Chahte Hain in PDF.