Raushni Mein Kis Qadar Diwar-o-dar Achchhe Lage

raushni mein kis qadar diwar-o-dar achchhe lage

shahr ke sare makan sare khanDar achchhe lage

pahle pahle main bhi tha amn o aman ka mo'tarif

aur phir aisa hua nezon pe sar achchhe lage

jab talak aazad the har ek masafat thi wabaal

jab paDi zanjir pairon mein safar achchhe lage

daera dar daera pani ka raqs jawedan

aankh ki putli ko dariya ke bhanwar achchhe lage

kaise kaise marhale sar teri KHatir se kiye

kaise kaise log tere nam par achchhe lage

(774) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushni Mein Kis Qadar Diwar-o-dar Achchhe Lage In English By Famous Poet Asad Badayuni. Raushni Mein Kis Qadar Diwar-o-dar Achchhe Lage is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Raushni Mein Kis Qadar Diwar-o-dar Achchhe Lage for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Raushni Mein Kis Qadar Diwar-o-dar Achchhe Lage in PDF.