Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_63eb54ab26b3ff4e45da2d06e4e9dd8f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh - Asad Badayuni Poetry In English - Darsaal

Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh

poshida kyun hai tur pe jalwa dikha ke dekh

ai dost meri tab-e-nazar aazma ke dekh

phulon ki tazgi hi nahin dekhne ki chiz

kanTon ki samt bhi to nigahen uTha ke dekh

leta nahin kisi ka pas-e-marg koi nam

duniya ko dekhna hai to duniya se ja ke dekh

dil mein hamare dard zamane ka hai nihan

paiwast dil mein saikDon paikan jafa ke dekh

jo baada-KHwar-e-gham hain unhen bhi kabhi kabhi

saqi sharab-e-husn ke saghar pila ke dekh

ban jaega kabhi na kabhi dard hi dawa

'asad' ke dil mein dard ki shiddat baDha ke dekh

(856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh In English By Famous Poet Asad Badayuni. Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Poshida Kyun Hai Tur Pe Jalwa Dikha Ke Dekh in PDF.