Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a0032a5cc369aa2990be134749d7444d, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga - Asad Badayuni Poetry In English - Darsaal

Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga

mausam-e-hijr to daim hai na ruKHsat hoga

ek hi lamhe ko ho wasl ghanimat hoga

mera dil aaKHiri tare ki tarah hai goya

Dubna us ka nae din ki bashaarat hoga

ab ke hangama nai tarah hua hai aaghaz

shahr bhi ab ke nae taur se ghaarat hoga

shaKH se TuT ke patte ne ye dil mein socha

kaun is tarah bhala mail-e-hijrat hoga

dil se duniya ka jo rishta hai ajab rishta hai

hum jo TuTe hain to kab shahr salamat hoga

baadbanon se hawa lag ke gale roti hai

ye safina bhi kisi mauj ki qismat hoga

(808) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga In English By Famous Poet Asad Badayuni. Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Mausam-e-hijr To Daim Hai Na RuKHsat Hoga in PDF.