Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_971234ff5133074f412b576038bcb0a1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai - Asad Badayuni Poetry In English - Darsaal

KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai

KHushi bhi ab sarapa gham lage hai

tawajjoh aap ki kuchh kam lage hai

koi hamdam nahin duniya mein lekin

jise dekho wahi hamdam lage hai

main hun majbur apne dil se mujh ko

paraya gham bhi apna gham lage hai

bahaaren hain chaman mein gul ba-daman

KHizan ka sa magar mausam lage hai

jidhar dekho udhar shabnam ke aansu

chaman kya hai saf-e-matam lage hai

har ek majbur se kah do ye 'asad'

har ek maghrur ka sar KHam lage hai

(790) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai In English By Famous Poet Asad Badayuni. KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai is written by Asad Badayuni. Read famous Poem KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download KHushi Bhi Ab Sarapa Gham Lage Hai in PDF.