Jo Aks-e-yar Tah-e-ab Dekh Sakte Hain

jo aks-e-yar tah-e-ab dekh sakte hain

ajib log hain kya KHwab dekh sakte hain

samundaron ke safar sab ki qismaton mein kahan

so hum kinare se girdab dekh sakte hain

guzarne wale jahazon se rasm o rah nahin

bas un ke aks sar-e-ab dekh sakte hain

hawa ke apne ilaqe hawas ke apne maqam

ye kab kisi ko zafar-yab dekh sakte hain

KHafa hain aashiq o mashuq se magar kuchh log

ghazal mein ishq ke aadab dekh sakte hain

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Aks-e-yar Tah-e-ab Dekh Sakte Hain In English By Famous Poet Asad Badayuni. Jo Aks-e-yar Tah-e-ab Dekh Sakte Hain is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Jo Aks-e-yar Tah-e-ab Dekh Sakte Hain for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Jo Aks-e-yar Tah-e-ab Dekh Sakte Hain in PDF.