Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3259274cc0170b3b3195dac868774334, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya - Asad Badayuni Poetry In English - Darsaal

Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya

jise na meri udasi ka kuchh KHayal aaya

main us ke husn pe ek roz KHak Dal aaya

ye ishq KHub raha bawajud milne ke

na darmiyan kabhi lamha-e-visal aaya

ishaara karne lage hain bhanwar ke hath hamein

KHosha ki phir dil-dariya mein ishtial aaya

murawwaton ke samar daghdar hone lage

mohabbaton ke shajar tujh pe kya zawal aaya

hasin shakl ko dekha KHuda ko yaad kiya

kisi gunah ka dil mein kahan KHayal aaya

KHuda bachae tasawwuf-gazida logon se

koi jo sher bhala sun liya to haal aaya

(1120) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya In English By Famous Poet Asad Badayuni. Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya is written by Asad Badayuni. Read famous Poem Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya for youth and Student by Asad Badayuni. Free Download Jise Na Meri Udasi Ka Kuchh KHayal Aaya in PDF.