BaDe Nadan The Hum Ret Ko Aab-e-rawan Samjhe
baDe nadan the hum ret ko aab-e-rawan samjhe
khujuron ke daraKHton ko ghanera saeban samjhe
chaman mein mere aansu the jinhen shabnam kaha sab ne
falak par meri aahen thin jinhen sab kahkashan samjhe
kabhi tujh ko ghubar-e-rang mein koi kiran jaana
kabhi tujh ko giraft-e-sang mein jue rawan samjhe
kisi be-mehr-subhon ko ata ki raushni hum ne
kai na mehrban raaton ko bhi hum mehrban samjhe
KHizan ke shahr mein bas main bahaaron ki alamat tha
mere zaKHmon ko sab phulon ki nazuk pattiyan samjhe
sabhi ko de raha tha wo dua jine ki sadiyon tak
hamare shahr ke sab log us ko bad-zaban samjhe
thake baiThe the kuchh panchhi lab-e-dariya jinhen 'asad'
hum apni par-shikasta KHwahishon ka karwan samjhe
(832) Peoples Rate This