Yun Dur Dur Dil Se Ho Ho Ke Dil-nashin Bhi
yun dur dur dil se ho ho ke dil-nashin bhi
hain to isi jahan mein milte nahin kahin bhi
kam ek qabr se hai mujh ko ye kul zamin bhi
mar rahne ka Thikana milta nahin kahin bhi
tufan-e-bahr KHud hain baDhti umangen dil ki
kashti qarar legi ho kar na tah-nashin bhi
imkan ki had ke andar koshish ki had se bahar
dil jis ko DhunDhta hai wo hai bhi aur nahin bhi
ummid-e-dil ki fitrat hai be-niyaz taskin
kam ho na be-qarari aae agar yaqin bhi
bim-o-raja se dil mein dariya ka jazr-o-mad hai
sahil-nawaz maujen aain bhi aur gain bhi
ye multafit nigahen shewa wigha hai jin ka
hain mojib-e-sukun bhi hangama-afrin bhi
kar pahle dil pe qabu jame ki phir KHabar le
daman bachane wale jati hai aastin bhi
KHatre mein jaan jis se wo jaan se bhi pyara
rangin-ezar shoala qatil bhi hai hasin bhi
sar-gashta-e-mohabbat dar-e-mehan mein phir kar
dekh aae gosha gosha rahat nahin kahin bhi
nairangi-e-talawwun la-hal sa ek muamma
samjhe jo tere tewar paDh le KHat-e-jabin bhi
shan-e-ghurur un ki taswir ek ruKHi hai
aur aarzu ki nazren shaida bhi hain hasin bhi
(930) Peoples Rate This