Wo Kya Likhta Jise Inkar Karte Bhi Hijab Aaya
wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya
jawab-e-KHat nahin aaya to ye samjho jawab aaya
qarib-e-subh ye kah kar ajal ne aankh jhapka di
are o hijr ke mare tujhe ab tak na KHwab aaya
dil is aawaz ke sadqe ye mushkil mein kaha kis ne
na ghabrana na ghabrana main aaya aur shitab aaya
koi qital-surat dekh li marne lage us par
ye maut ek KHushnuma parde mein aai ya shabab aaya
purane ahd TuTe ho gae paiman nae qaem
bana di us ne duniya dusri jo inqalab aaya
guzargah-e-mohabbat ban gai ek mustaqil basti
laga kar aag aaya ghar ko jo KHana-KHarab aaya
muamma ban gaya raaz-e-mohabbat 'arzu' yunhi
wo mujh se puchhte jhijke mujhe kahte hijab aaya
(763) Peoples Rate This