Wada Sachcha Hai Ki JhuTa Mujhe Malum Na Tha
wada sachcha hai ki jhuTa mujhe malum na tha
kal badal jaegi duniya mujhe malum na tha
husn hai mashghala-e-zulm ko gahra parda
pas-e-parda hai andhera mujhe malum na tha
ishq wo shai hai ki charke bhi maza dete hain
warna qatil hain hasin kya mujhe malum na tha
dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha
jhuTi ummidon ne kya kya na hare bagh lagae
waqt jhonka hai hawa ka mujhe malum na tha
jitne qismat ke sahaare the wo jhuTe nikle
hai bandhi muTThiyon mein kya mujhe malum na tha
barson bhaTka kiya aur phir bhi na un tak pahuncha
ghar to malum tha rasta mujhe malum na tha
raaz-e-gham fash na ho is liye roki thi zaban
chup bhi rah kar yahi hoga mujhe malum na tha
dil maze leta hai jis gham ke wo hai kahish-e-jaan
zahr bhi hota hai miTha mujhe malum na tha
ishq-abaad ke nake hi se ruKHsat hue hosh
hai ye diwanon ki duniya mujhe malum na tha
hoga imroz ki surat mein zuhur-e-farda
wada yun roz Talega mujhe malum na tha
aarzu han bhi hasinon ki nahin hoti hai
in ki har baat hai dhoka mujhe malum na tha
(882) Peoples Rate This