Uski To Ek Dil-lagi Apna Bana Ke ChhoD De

us ki to ek dil-lagi apna bana ke chhoD de

jae wo ab kahan jise sab se chhuDa ke chhoD de

khel nahin hai bad-guman qaul-o-qarar bhulna

phir se aazma ke dekh yaad dila ke chhoD de

nibh chuka zindagi ka sath jab ye abhi se haal hai

bojh baTane wala hi bich mein la ke chhoD de

us se kahen to kya kahen jis ke mizaj mein ye zid

jab na lagi bujha sake aag laga ke chhoD de

rah tawil panw shal aur ye ham-safar ka haal

le to chale sambhaal ke bich mein la ke chhoD de

(818) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uski To Ek Dil-lagi Apna Bana Ke ChhoD De In English By Famous Poet Arzoo Lakhnavi. Uski To Ek Dil-lagi Apna Bana Ke ChhoD De is written by Arzoo Lakhnavi. Read famous Poem Uski To Ek Dil-lagi Apna Bana Ke ChhoD De for youth and Student by Arzoo Lakhnavi. Free Download Uski To Ek Dil-lagi Apna Bana Ke ChhoD De in PDF.