Tumhein Kya Kaam Nalon Se Tumhein Kya Kaam Aahon Se
tumhein kya kaam nalon se tumhein kya kaam aahon se
chhupaya ho gunah-e-ishq to puchho gawahon se
main kajkol-e-dil-e-be-muddaa le kar kahan jaun
ye paigham-e-talab kyun unchi unchi bargahon se
zaban ho ek ulfat ki to mumkin hai zaban-bandi
hui jo baat chupke ki wo kah Dali nigahon se
mohabbat andar andar zist ka naqsha palaTti hai
yahi chalti hui sansen badal jaengi aahon se
sanad be-aitmadi ki hai qabl-e-imtihan goya
bayan-e-haal kai pahle halaf lena gawahon se
mohabbat nek-o-bad ko sochne de ghair mumkin hai
baDhi jab be-KHudi phir kaun Darta hai gunahon se
hue jab aap se bahar phir ehsas-e-dui kaisa
pata manzil ka milta hai inhin gum-karda rahon se
bata sakti nahin roidgi-e-sabza-o-gul bhi
faqiron se paTe the ye gaDhe ya baadshahon se
chhalakte zarf ka khulta bharam khota hai baat apni
sukun pata hai dil ka dard nalon se na aahon se
ye pahle soch len aaankhon mein lahraate hue aansu
ki wo phir uTh bhi sakte hain jo gir jaen nigahon se
mila baiTha hai sab mein kuchh magar munh se nahin kahta
alag samho tum apne 'arzu' ko dad-KHwahon se
(791) Peoples Rate This