Taqdir Pe Shakir Rah Kar Bhi Ye Kaun Kahe Tadbir Na Kar
taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar
wa bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila taKHir na kar
gham baDhne de ai dil aur zara jaanch aah ki be-tasir na kar
hai KHwab adhura aap abhi be-samjhe ghalat tabir na kar
jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha
de dard hi mein lazzat yarab nale ko ata tasir na kar
ho lakh kaman kaDi qatil kuchh jazb nishane mein bhi hai
bazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zaKHm-e-tir na kar
ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palaT jaen
jo karna ho kare aise mein kis soch mein hai taKHir na kar
paiman-e-mohabbat KHatm hua ab zikr se us ke faeda kya
munh bikhri kaDiyon ke na mila tayyar nai zanjir na kar
ulfat ke ahd-e-mohkam mein bude kaghaz ki zamanat kya
ye dil se dil ki baaten hain rakh yaad faqat tahrir na kar
har dil hai hayat ka sarmaya har dil mein josh mohabbat ka
tu 'arzu' aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar
(734) Peoples Rate This